roun to KHushk aankh mein aansu kahan se aae
ro.uuñ to ḳhushk aañkh meñ aañsū kahāñ se aa.e
bolūñ to bhī zabān pe qaabū kahāñ se aa.e
bahno tumhārī maañg kā siñdūr kyā huā
bachchoñ tumhāre haath meñ chāqū kahāñ se aa.e
insāf kā lihāz na taqsīm kā shu.ūr
in bandaroñ ke haath tarāzū kahāñ se aa.e
vo ehtirām-e-masjid-o-mandir kahāñ ga.e
ye sādhūoñ ke bhes meñ Daaku kahāñ se aa.e
haiñ ek ghar ke log yahāñ ġhair kaun hai
phir ye muāmalāt-e-man-o-tū kahāñ se aa.e
aapas kī ranjisheñ haiñ ki bāhar kī sāzisheñ
ye zid ye iḳhtilāf ke pahlū kahāñ se aa.e
allāh kaise aa ga.ī lafzoñ meñ raushnī
merī bayāz-e-sher meñ jugnū kahāñ se aa.e
roun to KHushk aankh mein aansu kahan se aae
bolun to bhi zaban pe qabu kahan se aae
bahno tumhaari mang ka sindur kya hua
bachchon tumhaare hath mein chaqu kahan se aae
insaf ka lihaz na taqsim ka shuur
in bandaron ke hath taraazu kahan se aae
wo ehtiram-e-masjid-o-mandir kahan gae
ye sadhuon ke bhes mein Daku kahan se aae
hain ek ghar ke log yahan ghair kaun hai
phir ye muamalat-e-man-o-tu kahan se aae
aapas ki ranjishen hain ki bahar ki sazishen
ye zid ye iKHtilaf ke pahlu kahan se aae
allah kaise aa gai lafzon mein raushni
meri bayaz-e-sher mein jugnu kahan se aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.