roz ab aag pe chalna hoga
roz ab aag pe chalnā hogā
isī māhaul meñ palnā hogā
rāsta tum ko badalnā hogā
varna kāñToñ pe hī chalnā hogā
kuchh dikhā.ī nahīñ detā hai yahāñ
dasht-e-zulmat se nikalnā hogā
ham agar hausla-bardār rahe
chaḌhte sūraj ko bhī Dhalnā hogā
dhundh meñ gum huā manzil kā surāġh
ab hameñ haath hī malnā hogā
sair-e-gulshan kī ijāzat nahīñ ab
ghar meñ hī tum ko Tahalnā hogā
us kī furqat meñ tumheñ ab 'zīnat'
jhūTe vā'doñ se bahalnā hogā
roz ab aag pe chalna hoga
isi mahaul mein palna hoga
rasta tum ko badalna hoga
warna kanTon pe hi chalna hoga
kuchh dikhai nahin deta hai yahan
dasht-e-zulmat se nikalna hoga
hum agar hausla-bardar rahe
chaDhte suraj ko bhi Dhalna hoga
dhundh mein gum hua manzil ka suragh
ab hamein hath hi malna hoga
sair-e-gulshan ki ijazat nahin ab
ghar mein hi tum ko Tahalna hoga
us ki furqat mein tumhein ab 'zinat'
jhuTe wa'don se bahalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.