roz afzun hai aab-o-tab-e-suKHan
roz afzūñ hai āb-o-tāb-e-suḳhan
tā qayāmat khulā hai bāb-e-suḳhan
mujh ko serī na ho sakī ab tak
go ki piitā rahā huuñ āb-e-suḳhan
is kā chaskā ajiib chaskā hai
chhūTtī hī nahīñ sharāb-e-suḳhan
'mīr'-o-'saudā'-o-'ġhālib'-o-'iqbāl'
khīñchte haiñ sabhī tanāb-e-suḳhan
be-shumār is ke haiñ 'zakī' dīvān
kyā kare koī ehtisāb-e-suḳhan
roz afzun hai aab-o-tab-e-suKHan
ta qayamat khula hai bab-e-suKHan
mujh ko seri na ho saki ab tak
go ki pita raha hun aab-e-suKHan
is ka chaska ajib chaska hai
chhuTti hi nahin sharab-e-suKHan
'mir'-o-'sauda'-o-'ghaalib'-o-'iqbaal'
khinchte hain sabhi tanab-e-suKHan
be-shumar is ke hain 'zaki' diwan
kya kare koi ehtisab-e-suKHan
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 78)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.