roz aKHbar mein qismat ka likha paDh paDh kar
roz aḳhbār meñ qismat kā likhā paḌh paḌh kar
log ab ghar se nikalte haiñ du'ā paḌh paḌh kar
dekh kar tujh ko ye ehsās huā hai mujh ko
qismateñ likhtā hai chehroñ ko ḳhudā paḌh paḌh kar
kaise aaseb ne is shahr ko aa gherā hai
log dete haiñ davā.eñ bhī du'ā paḌh paḌh kar
ham vo tahrīr jise likkhā tire hāthoñ ne
mat hameñ chhoḌ tū apne se judā paḌh paḌh kar
bas ga.ī is meñ ye kis paak badan kī ḳhushbū
aatī hai bād-e-sabā sall-e-'alā paḌh paḌh kar
ham ne haq ke liye jaañ dene kā fan sīkhā hai
qissa-e-mā'raka-e-karb-o-balā paḌh paḌh kar
tujh ko bhī hijr kī tahrīr satātī hogī
maiñ bhī bechain huuñ yādoñ kā likhā paḌh paḌh kar
aaj ke daur ke saffāk chalan vaale ham
dang haiñ tazkira-e-mehr-o-vafā paḌh paḌh kar
dil bhī khiñchtā hai gunāhoñ kī taraf 'ābid' kā
Dar bhī lagtā hai gunāhoñ kī sazā paḌh paḌh kar
roz aKHbar mein qismat ka likha paDh paDh kar
log ab ghar se nikalte hain du'a paDh paDh kar
dekh kar tujh ko ye ehsas hua hai mujh ko
qismaten likhta hai chehron ko KHuda paDh paDh kar
kaise aaseb ne is shahr ko aa ghera hai
log dete hain dawaen bhi du'a paDh paDh kar
hum wo tahrir jise likkha tere hathon ne
mat hamein chhoD tu apne se juda paDh paDh kar
bas gai is mein ye kis pak badan ki KHushbu
aati hai baad-e-saba sall-e-'ala paDh paDh kar
hum ne haq ke liye jaan dene ka fan sikha hai
qissa-e-ma'raka-e-karb-o-bala paDh paDh kar
tujh ko bhi hijr ki tahrir satati hogi
main bhi bechain hun yaadon ka likha paDh paDh kar
aaj ke daur ke saffak chalan wale hum
dang hain tazkira-e-mehr-o-wafa paDh paDh kar
dil bhi khinchta hai gunahon ki taraf 'abid' ka
Dar bhi lagta hai gunahon ki saza paDh paDh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.