roz apna bayan badalta hai
roz apnā bayāñ badaltā hai
aadmī hai nishāñ badaltā hai
laakh insān zor kartā hai
vaqt phir bhī kahāñ badaltā hai
aadmī kuchh bhī kar nahīñ paatā
vaqt jab āsmāñ badaltā hai
jaane kis ke ishāre chalte haiñ
ye samāñ ye jahāñ badaltā hai
aag se rishta us kā hai qaa.em
kab ye rishta dhuāñ badaltā hai
aa.ina jo dikhā vo kahtā hai
ye bhalā kab zabāñ badaltā hai
roz apna bayan badalta hai
aadmi hai nishan badalta hai
lakh insan zor karta hai
waqt phir bhi kahan badalta hai
aadmi kuchh bhi kar nahin pata
waqt jab aasman badalta hai
jaane kis ke ishaare chalte hain
ye saman ye jahan badalta hai
aag se rishta us ka hai qaem
kab ye rishta dhuan badalta hai
aaina jo dikha wo kahta hai
ye bhala kab zaban badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.