roz be-waqt yahan kaun sada deta hai
roz be-vaqt yahāñ kaun sadā detā hai
niiñd puurī nahīñ hotī ki jagā detā hai
saarā apnā hī likhā aap miTā Daalā thā
yaad aatā hai vo qissa to rulā detā hai
hone lagtā hai gumāñ jumbish-e-lab kā jis dam
sāmne se koī tasvīr haTā detā hai
chalo ab Duub hī jaate haiñ ki dariyā kab se
kisī ġharqāb ḳhazāne kā pata detā hai
roz miltā huuñ maiñ apne ko baḌī mushkil se
kaun hai jo mujhe ḳhud se hī chhupā detā hai
jaane kis dhuup kī shiddat hai badan-sahrā meñ
lū kā jhoñkā bhī qayāmat kā maza detā hai
sāya-e-abr-e-ravāñ terā guzarnā aksar
kuchh na kuchh jaise hameñ yaad dilātā detā hai
roz be-waqt yahan kaun sada deta hai
nind puri nahin hoti ki jaga deta hai
sara apna hi likha aap miTa Dala tha
yaad aata hai wo qissa to rula deta hai
hone lagta hai guman jumbish-e-lab ka jis dam
samne se koi taswir haTa deta hai
chalo ab Dub hi jate hain ki dariya kab se
kisi gharqab KHazane ka pata deta hai
roz milta hun main apne ko baDi mushkil se
kaun hai jo mujhe KHud se hi chhupa deta hai
jaane kis dhup ki shiddat hai badan-sahra mein
lu ka jhonka bhi qayamat ka maza deta hai
saya-e-abr-e-rawan tera guzarna aksar
kuchh na kuchh jaise hamein yaad dilata deta hai
- Book : غبار حیرانی (Pg. 107)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.