roz bunti hun TuT jata hai
roz buntī huuñ TuuT jaatā hai
ḳhvāb hāthoñ se chhūT jaatā hai
ashk āñkhoñ meñ jo nahīñ Tiktā
vo hī āñkhoñ ko luuT jaatā hai
ḳhuun paanī se ho chukā patlā
dekh ke dil hī TuuT jaatā hai
tab gilā kyā kareñ ki jab koī
ban ke apnā hī luuT jaatā hai
rābta gar rakhā nahīñ jaa.e
to ta'alluq bhī TuuT jaatā hai
ho mohabbat kā rang kachchā gar
pahlī bārish meñ chhūT jaatā hai
roz bunti hun TuT jata hai
KHwab hathon se chhuT jata hai
ashk aankhon mein jo nahin Tikta
wo hi aankhon ko luT jata hai
KHun pani se ho chuka patla
dekh ke dil hi TuT jata hai
tab gila kya karen ki jab koi
ban ke apna hi luT jata hai
rabta gar rakha nahin jae
to ta'alluq bhi TuT jata hai
ho mohabbat ka rang kachcha gar
pahli barish mein chhuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.