roz dil ko mere ek zaKHm naya dete hain
roz dil ko mire ik zaḳhm nayā dete haiñ
aap kyā apnā banāne kī sazā dete haiñ
merī betābī-e-dil kā jo uḌāte haiñ mazāq
vo bhaḌakte hue sho.aloñ ko havā dete haiñ
log kahte haiñ jise zarf vo apnā hai mizāj
apne dushman se bhī ham pyaar jatā dete haiñ
koī āvāz nahīñ hotī bhare bartan se
aur ḳhālī hoñ to har gaam sadā dete haiñ
dekh kar mere nasheman se dhuāñ uThtā huā
sūkhe patte bhī daraḳhtoñ ke havā dete haiñ
zaḳhm-e-dil chāñd kī mānind chamakte haiñ mire
aap jab bhūlī huī baat sunā dete haiñ
aap chup-chāp hī aate haiñ tasavvur meñ magar
mere ḳhvābīda ḳhayāloñ ko jagā dete haiñ
sirf ik devtā samjhā hai tumheñ maiñ ne magar
log patthar ko bhī bhagvān banā dete haiñ
kachchī dīvār kī mānind haiñ ham ai 'gauhar'
ek Thokar se jise log girā dete haiñ
roz dil ko mere ek zaKHm naya dete hain
aap kya apna banane ki saza dete hain
meri betabi-e-dil ka jo uDate hain mazaq
wo bhaDakte hue shoalon ko hawa dete hain
log kahte hain jise zarf wo apna hai mizaj
apne dushman se bhi hum pyar jata dete hain
koi aawaz nahin hoti bhare bartan se
aur KHali hon to har gam sada dete hain
dekh kar mere nasheman se dhuan uThta hua
sukhe patte bhi daraKHton ke hawa dete hain
zaKHm-e-dil chand ki manind chamakte hain mere
aap jab bhuli hui baat suna dete hain
aap chup-chap hi aate hain tasawwur mein magar
mere KHwabida KHayalon ko jaga dete hain
sirf ek dewta samjha hai tumhein main ne magar
log patthar ko bhi bhagwan bana dete hain
kachchi diwar ki manind hain hum ai 'gauhar'
ek Thokar se jise log gira dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.