roz-e-azal ho ya abad donon hain ham-kanar-e-ishq
roz-e-azal ho ya abad donon hain ham-kanar-e-ishq
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
roz-e-azal ho yā abad donoñ haiñ ham-kanār-e-ishq
ishq hai rāz-dār-e-husn husn hai rāzdār-e-ishq
ḳhushbū-e-husn-o-ishq se mahke hue haiñ bām-o-dar
saarā jahāñ bahār-e-husn saarā jahāñ bahār-e-ishq
hotā hai kaun kāmrāñ ma.arka-e-hayāt meñ
un ko hai e'timād-e-husn ham ko hai etibār-e-ishq
uTTho harīm-e-nāz se sote rahoge kab talak
phailī huī hai har taraf raushnī-e-bahār-e-ishq
donoñ kī manzileñ bhī ek donoñ kī rahguzar bhī ek
ishq huā nisār-e-husn husn huā nisār-e-ishq
ab to ḳhudā ke vāste ruḳh se naqāb uThā.iye
aap ke intizār meñ hai dil-e-be-qarār-e-ishq
roz-e-azal ho ya abad donon hain ham-kanar-e-ishq
ishq hai raaz-dar-e-husn husn hai raazdar-e-ishq
KHushbu-e-husn-o-ishq se mahke hue hain baam-o-dar
sara jahan bahaar-e-husn sara jahan bahaar-e-ishq
hota hai kaun kaamran marka-e-hayat mein
un ko hai e'timad-e-husn hum ko hai etibar-e-ishq
uTTho harim-e-naz se sote rahoge kab talak
phaili hui hai har taraf raushni-e-bahaar-e-ishq
donon ki manzilen bhi ek donon ki rahguzar bhi ek
ishq hua nisar-e-husn husn hua nisar-e-ishq
ab to KHuda ke waste ruKH se naqab uThaiye
aap ke intizar mein hai dil-e-be-qarar-e-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.