roz-e-raushan ko jo nisbat hai siyah raat ke sath
roz-e-raushan ko jo nisbat hai siyah raat ke saath
us ne rishta vahī rakhā hai mirī zaat ke saath
kuchh na thā baḳht meñ nākām mohabbat ke sivā
zindagī kaaT dī maiñ ne isī sauġhāt ke saath
shab kī shab ek charāġhāñ kā samāñ rahtā hai
shaam aa jaatī hai jab tere ḳhayālāt ke saath
abr-e-ġham dil se uThe az-sar-e-mizhgāñ barse
chashm-e-giryāñ ko ajab rabt hai barsāt ke saath
karb yādoñ kā rahā dard bhulāne kā rahā
ranj kyā kyā na sahe gardish-e-hālāt ke saath
shaiḳh jī aap ne dar-bandagī sajde hī gine
dil kī tathīr bhī lāzim thī ibādāt ke saath
mutribā kaun sune hai tirī chīḳhoñ kī sadā
lab-e-lālīñ pe thirakte hue naġhmāt ke saath
aur to kaam sabhī ho ga.e puure 'aḳhlāq'
dil-lagī rah ga.ī ik marg-e-mufājāt ke saath
roz-e-raushan ko jo nisbat hai siyah raat ke sath
us ne rishta wahi rakha hai meri zat ke sath
kuchh na tha baKHt mein nakaam mohabbat ke siwa
zindagi kaT di main ne isi saughat ke sath
shab ki shab ek charaghan ka saman rahta hai
sham aa jati hai jab tere KHayalat ke sath
abr-e-gham dil se uThe az-sar-e-mizhgan barse
chashm-e-giryan ko ajab rabt hai barsat ke sath
karb yaadon ka raha dard bhulane ka raha
ranj kya kya na sahe gardish-e-haalat ke sath
shaiKH ji aap ne dar-bandagi sajde hi gine
dil ki tathir bhi lazim thi ibaadat ke sath
mutriba kaun sune hai teri chiKHon ki sada
lab-e-lalin pe thirakte hue naghmat ke sath
aur to kaam sabhi ho gae pure 'aKHlaq'
dil-lagi rah gai ek marg-e-mufajat ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.