roz gire ek KHwab-e-imarat malbe mein dab jaun
roz gire ik ḳhvāb-e-imārat malbe meñ dab jā.ūñ
sadiyoñ kī dīvāreñ fāñdūñ lamhe meñ dab jā.ūñ
kabhī kabhī sahrāoñ ko bhī band karūñ muTThī meñ
aur kabhī ik ret ke adnā zarre meñ dab jā.ūñ
maiñ to ḳhud ik peḌ ghanā huuñ ye hai kaise mumkin
chhoTe moTe paudoñ ke maiñ saa.e meñ dab jā.ūñ
aisā bhī ho jaa.e aksar vaisā bhī ho jaa.e
sailāboñ kā rasta rokūñ qatre meñ dab jā.ūñ
mere naam kā nuun 'munavār' asl meñ ek muamma
lākhoñ sharhoñ meñ ubhrūñ ik nukte meñ dab jā.ūñ
roz gire ek KHwab-e-imarat malbe mein dab jaun
sadiyon ki diwaren fandun lamhe mein dab jaun
kabhi kabhi sahraon ko bhi band karun muTThi mein
aur kabhi ek ret ke adna zarre mein dab jaun
main to KHud ek peD ghana hun ye hai kaise mumkin
chhoTe moTe paudon ke main sae mein dab jaun
aisa bhi ho jae aksar waisa bhi ho jae
sailabon ka rasta rokun qatre mein dab jaun
mere nam ka nun 'munawar' asl mein ek muamma
lakhon sharhon mein ubhrun ek nukte mein dab jaun
- Book : Aiwan (Pg. 104)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.