roz hawa mein uDne ki farmaish hai
roz havā meñ uḌne kī farmā.ish hai
ye merī miTTī meñ kaisī ḳhvāhish hai
chehra chehra ġham hai apne manzar meñ
aur āñkhoñ ke pīchhe ek numā.ish hai
ik terī āvāz nahīñ aatī varna
chhoTe se is ghar meñ har āsā.ish hai
ab ke sāvan aa.e to tum aa jaanā
saare bastī vāloñ kī farmā.ish hai
ik din shīsh-mahal se bāhar bhī dekho
ḳheme kī bhī apnī ek rihā.ish hai
un rañgoñ ko sūraj khā jaatā hai 'qais'
jin rañgoñ meñ thoḌī sī ālā.ish hai
roz hawa mein uDne ki farmaish hai
ye meri miTTi mein kaisi KHwahish hai
chehra chehra gham hai apne manzar mein
aur aankhon ke pichhe ek numaish hai
ek teri aawaz nahin aati warna
chhoTe se is ghar mein har aasaish hai
ab ke sawan aae to tum aa jaana
sare basti walon ki farmaish hai
ek din shish-mahal se bahar bhi dekho
KHeme ki bhi apni ek rihaish hai
un rangon ko suraj kha jata hai 'qais'
jin rangon mein thoDi si aalaish hai
- Book : Aks Padta Hai Chaand ka (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.