roz ek hangama-e-Khaali uTha jate hain din
roz ik hangāma-e-ḳhālī uThā jaate haiñ din
aur ham bekār meñ saarā bitā jaate haiñ din
kyoñ ham is amboh meñ dil kā lahū karte raheñ
ḳhaak meñ saarī tamannā.eñ milā jaate haiñ din
lamha-lamha apnā shīrāza baham karte haiñ ham
kaise kaise aadmī ko kaisā khā jaate haiñ din
qarz baḌhtā jā rahā hai sā’at-e-fardā kā aur
ek din guzrā nahīñ hai aur aa jaate haiñ din
hañste hañste dhyān kab hotā hai āñkhoñ par hameñ
ik zarā sī der lagtī hai rulā jaate haiñ din
'umr ke pachchīsveñ hisse meñ ye hāsil huā
rā.egāñ jaane se pahle hī bitā jaate haiñ din
sar-basar ham vahshat-e-ā.inda-o-imroz haiñ
aise be-hālat ko aksar kyoñ dukhā jaate haiñ din
ab kahāñ vo mahfil-e-bāda vo sarmastī 'amīr'
bas ghaḌī bhar ke liye mehmān aa jaate haiñ din
roz ek hangama-e-KHali uTha jate hain din
aur hum bekar mein sara bita jate hain din
kyon hum is amboh mein dil ka lahu karte rahen
KHak mein sari tamannaen mila jate hain din
lamha-lamha apna shiraaza baham karte hain hum
kaise kaise aadmi ko kaisa kha jate hain din
qarz baDhta ja raha hai sa’at-e-farda ka aur
ek din guzra nahin hai aur aa jate hain din
hanste hanste dhyan kab hota hai aankhon par hamein
ek zara si der lagti hai rula jate hain din
'umr ke pachchiswen hisse mein ye hasil hua
raegan jaane se pahle hi bita jate hain din
sar-basar hum wahshat-e-ainda-o-imroz hain
aise be-haalat ko aksar kyon dukha jate hain din
ab kahan wo mahfil-e-baada wo sarmasti 'amir'
bas ghaDi bhar ke liye mehman aa jate hain din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.