roz ek rasta badalta hai
roz ik rāsta badaltā hai
merā dil be-ḳhudī meñ chaltā hai
āñdhiyāñ hī ukhāḌtī haiñ ise
āñdhiyoñ meñ hī peḌ paltā hai
baaġh ne kis se dushmanī kar lī
kaun har phuul ko masaltā hai
jāntā hī nahīñ yahāñ koī
kis bahāne se dil bahaltā hai
paar ho jaa.e dasht hī 'sīmā'
niiñd meñ itnā kaun chaltā hai
roz ek rasta badalta hai
mera dil be-KHudi mein chalta hai
aandhiyan hi ukhaDti hain ise
aandhiyon mein hi peD palta hai
bagh ne kis se dushmani kar li
kaun har phul ko masalta hai
jaanta hi nahin yahan koi
kis bahane se dil bahalta hai
par ho jae dasht hi 'sima'
nind mein itna kaun chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.