roz khulne ki ada bhi to nahin aati hai
roz khulne kī adā bhī to nahīñ aatī hai
is taraf bād-e-sabā bhī to nahīñ aatī hai
sochtā huuñ ki mulāqātoñ ko mahdūd karūñ
in darīchoñ se havā bhī to nahīñ aatī hai
ab tarīqa hai yahī muuñd leñ apnī āñkheñ
varna duniyā ko hayā bhī to nahīñ aatī hai
us kī qismat meñ haiñ barsāt ke saare tevar
apne hisse meñ ghaTā bhī to nahīñ aatī hai
roz khulne ki ada bhi to nahin aati hai
is taraf baad-e-saba bhi to nahin aati hai
sochta hun ki mulaqaton ko mahdud karun
in darichon se hawa bhi to nahin aati hai
ab tariqa hai yahi mund len apni aankhen
warna duniya ko haya bhi to nahin aati hai
us ki qismat mein hain barsat ke sare tewar
apne hisse mein ghaTa bhi to nahin aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.