roz KHwabon mein aa ke chal dunga
roz ḳhvāboñ meñ aa ke chal dūñgā
terī nīñdoñ meñ yuuñ ḳhalal dūñgā
maiñ na.ī shaam kī alāmat huuñ
ḳhaak sūraj ke muñh pe mal dūñgā
ab nayā pairahan zarūrī hai
ye badan shaam tak badal dūñgā
apnā ehsās chhoḌ jā.ūñgā
terī tanhā.ī le ke chal dūñgā
tum mujhe roz chiTThiyāñ likhnā
maiñ tumheñ roz ik ġhazal dūñgā
roz KHwabon mein aa ke chal dunga
teri nindon mein yun KHalal dunga
main nai sham ki alamat hun
KHak suraj ke munh pe mal dunga
ab naya pairahan zaruri hai
ye badan sham tak badal dunga
apna ehsas chhoD jaunga
teri tanhai le ke chal dunga
tum mujhe roz chiTThiyan likhna
main tumhein roz ek ghazal dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.