roz mujhko tabah karte hain
roz mujh ko tabāh karte haiñ
kuchh to aaseb mujh meñ aise haiñ
dil se sab ko duā.eñ dete haiñ
hañs ke sab kī balā.eñ lete haiñ
duur jaatā nahīñ huuñ tujh se yuuñ
duur kab jaane vaale lauTe haiñ
chārāgar bhī davā kare kab tak
ab to zaḳhmoñ se zaḳhm riste haiñ
maiñ ne bachpan kabhī nahīñ dekhā
mere auzār hī khilaune haiñ
aap ke dukh pe maiñ nahīñ rotā
aap kyoñ mere dukh pe rote haiñ
jaane vāloñ ko ham nahīñ rote
jaane vaale parā.e hote haiñ
maiñ huuñ mahrūm ik zamāna se
ḳhair tū ne to apne dekhe haiñ
aisā mahsūs ho rahā 'sohil'
mere marhūm paas baiThe haiñ
roz mujh ko tabah karte hain
kuchh to aaseb mujh mein aise hain
dil se sab ko duaen dete hain
hans ke sab ki balaen lete hain
dur jata nahin hun tujh se yun
dur kab jaane wale lauTe hain
chaaragar bhi dawa kare kab tak
ab to zaKHmon se zaKHm riste hain
main ne bachpan kabhi nahin dekha
mere auzar hi khilaune hain
aap ke dukh pe main nahin rota
aap kyon mere dukh pe rote hain
jaane walon ko hum nahin rote
jaane wale parae hote hain
main hun mahrum ek zamana se
KHair tu ne to apne dekhe hain
aisa mahsus ho raha 'sohil'
mere marhum pas baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.