roz nezon pe tamannaon ke sar aate hain
roz nezoñ pe tamannāoñ ke sar aate haiñ
ab mirī fat.h ke āsār nazar aate haiñ
yaad kā sang-e-girāñ ruuh kī gahrā.ī meñ
Dūbtā hai to ka.ī zaḳhm ubhar aate haiñ
dil se majbūr bhī ham sāhib-e-pindār bhī ham
āstāñ se tire katrā ke guzar aate haiñ
vo tirā dard sahī vaqt ke hāthoñ ko magar
thapkiyāñ de ke sulāne ke hunar aate haiñ
zindagī kartī nahīñ TūTte rishtoñ se vafā
saare ilzām magar maut ke sar aate haiñ
dil meñ mat DhūñD ki ai tālib-e-īsār-o-vafā
ab ye alfāz kitāboñ meñ nazar aate haiñ
saare din karte haiñ ham dasht-e-tamannā kā safar
gard chehre pe liye shaam ko ghar aate haiñ
'shān' ab ham ko to aksar shab-e-tanhā.ī meñ
niiñd aatī nahīñ aur ḳhvāb nazar aate haiñ
roz nezon pe tamannaon ke sar aate hain
ab meri fath ke aasar nazar aate hain
yaad ka sang-e-giran ruh ki gahrai mein
Dubta hai to kai zaKHm ubhar aate hain
dil se majbur bhi hum sahib-e-pindar bhi hum
aastan se tere katra ke guzar aate hain
wo tera dard sahi waqt ke hathon ko magar
thapkiyan de ke sulane ke hunar aate hain
zindagi karti nahin TuTte rishton se wafa
sare ilzam magar maut ke sar aate hain
dil mein mat DhunD ki ai talib-e-isar-o-wafa
ab ye alfaz kitabon mein nazar aate hain
sare din karte hain hum dasht-e-tamanna ka safar
gard chehre pe liye sham ko ghar aate hain
'shan' ab hum ko to aksar shab-e-tanhai mein
nind aati nahin aur KHwab nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.