roz-o-shab ka nisab lagti hai
roz-o-shab kā nisāb lagtī hai
zindagī ik kitāb lagtī hai
dosto kyā tumheñ mirī sūrat
ḳhasta-hāl-o-ḳharāb lagtī hai
ishq meñ umr jo guzārī hai
ab sunahrā sā ḳhvāb lagtī hai
kyā kahā vo sin-e-bulūġhat meñ
aur bhī pur-shabāb lagtī hai
ye tirī aañkh meñ chhupī mastī
mujh ko mauj-e-sharāb lagtī hai
giḌgiḌā kar duā jo māñgī thī
kyā tumheñ mustajāb lagtī hai
jis meñ us kī na yaad ho 'shāfī'
aisī saa.at azaab lagtī hai
roz-o-shab ka nisab lagti hai
zindagi ek kitab lagti hai
dosto kya tumhein meri surat
KHasta-haal-o-KHarab lagti hai
ishq mein umr jo guzari hai
ab sunahra sa KHwab lagti hai
kya kaha wo sin-e-bulughat mein
aur bhi pur-shabab lagti hai
ye teri aankh mein chhupi masti
mujh ko mauj-e-sharab lagti hai
giDgiDa kar dua jo mangi thi
kya tumhein mustajab lagti hai
jis mein us ki na yaad ho 'shafi'
aisi saat azab lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.