roz-o-shab ke na mah-o-sal ke aaine mein
roz-o-shab ke na mah-o-sāl ke ā.īne meñ
mujh ko dekho mire a.amāl ke ā.īne meñ
dekh raushan hai ki tārīk tirā mustaqbil
saaf aa.egā nazar haal ke ā.īne meñ
tairte phirte nazar aate haiñ donoñ aalam
vā.izo ātish-e-sayyāl ke ā.īne meñ
kyoñ na makrūh nazar aa.e ḳhud apnī sūrat
baal aa jaa.e jab iqbāl ke ā.īne meñ
roz-o-shab ke na mah-o-sal ke aaine mein
mujh ko dekho mere aamal ke aaine mein
dekh raushan hai ki tarik tera mustaqbil
saf aaega nazar haal ke aaine mein
tairte phirte nazar aate hain donon aalam
waizo aatish-e-sayyal ke aaine mein
kyon na makruh nazar aae KHud apni surat
baal aa jae jab iqbaal ke aaine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.