roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun
roz-o-shab kī koī sūrat to banā kar rakhkhūñ
kisī lahje kisī aahaT ko sajā kar rakhkhūñ
koī aañsū sā ujālā koī mahtāb sī yaad
ye ḳhazīne haiñ inheñ sab se chhupā kar rakhkhūñ
shor itnā hai ki kuchh kah na sakūñgī us se
ab ye sochā hai nigāhoñ ko dabā kar rakhkhūñ
āñdhiyāñ haar ga.iiñ jab tū ḳhayāl aayā hai
phuul ko tund havāoñ se bachā kar rakhkhūñ
mere āñchal meñ sitāre hī sitāre haiñ 'adā'
ye jo sadiyāñ haiñ judā.ī kī sajā kar rakhkhūñ
roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun
kisi lahje kisi aahaT ko saja kar rakhkhun
koi aansu sa ujala koi mahtab si yaad
ye KHazine hain inhen sab se chhupa kar rakhkhun
shor itna hai ki kuchh kah na sakungi us se
ab ye socha hai nigahon ko daba kar rakhkhun
aandhiyan haar gain jab tu KHayal aaya hai
phul ko tund hawaon se bacha kar rakhkhun
mere aanchal mein sitare hi sitare hain 'ada'
ye jo sadiyan hain judai ki saja kar rakhkhun
- Book : Aiwan (Pg. 13)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.