roz-o-shab mujh mein samata hai koi
roz-o-shab mujh meñ samātā hai koī
nit-na.e jalve dikhātā hai koī
chain se kab mujhe sonā hai nasīb
vaqt be-vaqt bulātā hai koī
band hai silsila-e-āmad-o-raft
koī aatā hai na jaatā hai koī
bārhā mujh ko jalāne ke liye
bārhā mujh ko bujhātā hai koī
jaate jaate to rulāte haiñ sabhī
aate aate bhī rulātā hai koī
dāḳhle ke sabhī dar band hue
yuuñ bhalā der se aatā hai koī
roz-o-shab mujh mein samata hai koi
nit-nae jalwe dikhata hai koi
chain se kab mujhe sona hai nasib
waqt be-waqt bulata hai koi
band hai silsila-e-amad-o-raft
koi aata hai na jata hai koi
barha mujh ko jalane ke liye
barha mujh ko bujhata hai koi
jate jate to rulate hain sabhi
aate aate bhi rulata hai koi
daKHle ke sabhi dar band hue
yun bhala der se aata hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.