roz puchhe hai mere dil ka bayaban mujhse
roz pūchhe hai mire dil kā bayābāñ mujh se
jaane kyoñ ruuTh gayā jān-e-bahārāñ mujh se
maut us vaqt masīhā kī tarah lagtī hai
zindagī hotī hai jab dast-o-garebāñ mujh se
marte dam bhī na huī haa.e mayassar ḳhalvat
milne aa.e haiñ vo hamrāh-e-raqībāñ mujh se
dil kī har baat ko lafzoñ meñ bayāñ kartā huuñ
is liye rahte haiñ kuchh log pareshāñ mujh se
zindagī sarf kī duniyā kī talab meñ āḳhir
kuchh adā ho na sakā farz-e-musalmāñ mujh se
shab guzarte hī bujhā doge yaqīnan mujh ko
ro ke ye kahne lagī sham-e-shabistāñ mujh se
tishnagī se bhī mujhe kaif mayassar aatā
kaash mil jaatā koī abr-e-gurezāñ mujh se
tujh ko dekhā thā yahāñ khilte gulāboñ kī tarah
is liye chhuTtā nahīñ shahr-e-nigārāñ mujh se
maiñ qalam bech ke shāhoñ ke qasīde likhkhūñ
chāhte haiñ yahī shāhoñ ke sanā-ḳhvāñ mujh se
dekh kar baḌhte hue dard kī shiddat ko 'bilāl'
zaḳhm bhī hone lage ab to pashemāñ mujh se
roz puchhe hai mere dil ka bayaban mujh se
jaane kyon ruTh gaya jaan-e-bahaaran mujh se
maut us waqt masiha ki tarah lagti hai
zindagi hoti hai jab dast-o-gareban mujh se
marte dam bhi na hui hae mayassar KHalwat
milne aae hain wo hamrah-e-raqiban mujh se
dil ki har baat ko lafzon mein bayan karta hun
is liye rahte hain kuchh log pareshan mujh se
zindagi sarf ki duniya ki talab mein aaKHir
kuchh ada ho na saka farz-e-musalman mujh se
shab guzarte hi bujha doge yaqinan mujh ko
ro ke ye kahne lagi sham-e-shabistan mujh se
tishnagi se bhi mujhe kaif mayassar aata
kash mil jata koi abr-e-gurezan mujh se
tujh ko dekha tha yahan khilte gulabon ki tarah
is liye chhuTta nahin shahr-e-nigaran mujh se
main qalam bech ke shahon ke qaside likhkhun
chahte hain yahi shahon ke sana-KHwan mujh se
dekh kar baDhte hue dard ki shiddat ko 'bilal'
zaKHm bhi hone lage ab to pasheman mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.