roz shab-ḳhūn mārtī hai havas
ruuh se roz hārtī hai havas
aarzū justujū zarūrat-e-ishq
nit-nayā ruup dhārtī hai havas
Daah detī hai jism vāloñ ko
chāhatoñ ko ubhārtī hai havas
maiñ mudāvā huuñ har udāsī kā
kah ke gāhak pukārtī hai havas
ek aaseb hai ḳhudā kā Dar
aur ye aaseb utārtī hai havas
roz shab-KHun marti hai hawas
ruh se roz haarti hai hawas
aarzu justuju zarurat-e-ishq
nit-naya rup dhaarti hai hawas
Dah deti hai jism walon ko
chahaton ko ubhaarti hai hawas
main mudawa hun har udasi ka
kah ke gahak pukarti hai hawas
ek aaseb hai KHuda ka Dar
aur ye aaseb utarti hai hawas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.