roz unchi uDan bharta hun
roz ūñchī uḌaan bhartā huuñ
maiñ parindoñ se baat kartā huuñ
ḳhvāb bīnā.ī chhīn lete haiñ
niiñd aane se roz Dartā huuñ
dekhtā rahtā hai jahāñ mujh ko
terī āñkhoñ se jab sañvartā huuñ
tere kahne pe hañs diyā varna
apne man kī to roz kartā huuñ
ek maqtal hai mujh ko ye duniyā
roz jiite hue maiñ martā huuñ
roz unchi uDan bharta hun
main parindon se baat karta hun
KHwab binai chhin lete hain
nind aane se roz Darta hun
dekhta rahta hai jahan mujh ko
teri aankhon se jab sanwarta hun
tere kahne pe hans diya warna
apne man ki to roz karta hun
ek maqtal hai mujh ko ye duniya
roz jite hue main marta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.