ruk dekh yar khinch le taswir waqt par
ruk dekh yaar khīñch le tasvīr vaqt par
aḳhroT toḌtī hai gilahrī daraḳht par
shāyad kahīñ se abr-e-karam kā zuhūr ho
dariyā pe ek aañkh lagā ek dasht par
khiḌkī meñ sub.h vādī-e-kailāsh kā zuhūr
utre avadh kī shaam kisī roz taḳht par
rath se hatheliyoñ pe utartī are ġhazab
maḳhmal ghasīTtī hai zamīn-e-karaḳht par
gul surḳh rañg ghaas harī nīlgūñ falak
ai kirdgār shukr tire bandobast par
taḳhlīq kā tilism kabhī dekhne chaleñ
ham āḳhiruzzamāñ bhī haiñ bāb-e-alast par
ruk dekh yar khinch le taswir waqt par
aKHroT toDti hai gilahri daraKHt par
shayad kahin se abr-e-karam ka zuhur ho
dariya pe ek aankh laga ek dasht par
khiDki mein subh wadi-e-kailash ka zuhur
utre awadh ki sham kisi roz taKHt par
rath se hatheliyon pe utarti are ghazab
maKHmal ghasiTti hai zamin-e-karaKHt par
gul surKH rang ghas hari nilgun falak
ai kirdgar shukr tere bandobast par
taKHliq ka tilism kabhi dekhne chalen
hum aaKHiruzzaman bhi hain bab-e-alast par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.