ruk ja hujum-e-gul ki abhi hausla nahin
ruk jā hujūm-e-gul ki abhī hausla nahīñ
dil se ḳhayāl-e-tañgī-e-dāmāñ gayā nahīñ
jo kuchh haiñ sañg-o-ḳhisht haiñ yā gard-e-rah-guzar
tum tak jo aa.e un kā koī naqsh-e-pā nahīñ
har āstāñ pe likhkhā hai ab nām-e-shahr-yār
vābistagān-e-dil kai liye koī jā nahīñ
sad-haif us ke haath hai har zaḳhm kā rafū
dāman meñ jis ke ek bhī tār-e-vafā nahīñ
ruk ja hujum-e-gul ki abhi hausla nahin
dil se KHayal-e-tangi-e-daman gaya nahin
jo kuchh hain sang-o-KHisht hain ya gard-e-rah-guzar
tum tak jo aae un ka koi naqsh-e-pa nahin
har aastan pe likhkha hai ab nam-e-shahr-yar
wabistagan-e-dil kai liye koi ja nahin
sad-haif us ke hath hai har zaKHm ka rafu
daman mein jis ke ek bhi tar-e-wafa nahin
- Book : Sham ka Pahla Tara (Pg. 18)
- Author : ZEHRA NIGAAH
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.