ruk jaana tum main aaunga sham Dhale
ruk jaanā tum maiñ ā.ūñgā shaam Dhale
apnā tan-man bikhrā.ūñgā shaam Dhale
ik tere aane kī der hai aa jaanā
itr havā meñ mahkā.ūñgā shaam Dhale
terī āñkheñ raushan taare maiñ in meñ
qaus-e-quzah bhī lahrā.ūñgā shaam Dhale
qatl agar merā na kiyā din darpan meñ
apne aap hī mar jā.ūñgā shaam Dhale
dekho phir aavan aavan barsāt kī hai
jhūle Daal ke lahrā.ūñgā shaam Dhale
ḳhat likhne kī fursat hai to ḳhat likhnā
likhnā aa kar apnā.ūñgā shaam Dhale
kāran kuchh likkhūñgā ḳhat meñ na aane ke
kuchh email se samjhā.ūñgā shaam Dhale
tum se dhokā khāyā paa.ī dil-duniyā
dhokā tum se phir khā.ūñgā shaam Dhale
tum aao to tum se va.ada hai 'īraj'
sudh-budh apnī bisrā.ūñgā shaam Dhale
ruk jaana tum main aaunga sham Dhale
apna tan-man bikhraunga sham Dhale
ek tere aane ki der hai aa jaana
itr hawa mein mahkaunga sham Dhale
teri aankhen raushan tare main in mein
qaus-e-quzah bhi lahraunga sham Dhale
qatl agar mera na kiya din darpan mein
apne aap hi mar jaunga sham Dhale
dekho phir aawan aawan barsat ki hai
jhule Dal ke lahraunga sham Dhale
KHat likhne ki fursat hai to KHat likhna
likhna aa kar apnaunga sham Dhale
karan kuchh likkhunga KHat mein na aane ke
kuchh email se samjhaunga sham Dhale
tum se dhoka khaya pai dil-duniya
dhoka tum se phir khaunga sham Dhale
tum aao to tum se wada hai 'iraj'
sudh-budh apni bisraunga sham Dhale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.