ruk jaun bhala kaise teri rahguzar mein
ruk jā.ūñ bhalā kaise tirī rāhguzar meñ
maiñ bād-e-sabā huuñ mujhe rahnā hai safar meñ
har pal mujhe ik ḳhauf kā ehsās huā hai
aaseb koī rahtā hai shāyad mire ghar meñ
us paikar-e-ḳhushbū kī maiñ tasvīr banā.ūñ
itnā to kamāl aa.e mire dast-e-hunar meñ
dastār-e-fazīlat ke maiñ qābil to nahīñ thā
kyā tujh ko nazar aayā thā is ḳhāk-basar meñ
mumkin hai kaḌī dhuup bhī saa.e meñ badal jaa.e
shāmil hai tirī yaad mire raḳht-e-safar meñ
ruk jaun bhala kaise teri rahguzar mein
main baad-e-saba hun mujhe rahna hai safar mein
har pal mujhe ek KHauf ka ehsas hua hai
aaseb koi rahta hai shayad mere ghar mein
us paikar-e-KHushbu ki main taswir banaun
itna to kamal aae mere dast-e-hunar mein
dastar-e-fazilat ke main qabil to nahin tha
kya tujh ko nazar aaya tha is KHak-basar mein
mumkin hai kaDi dhup bhi sae mein badal jae
shamil hai teri yaad mere raKHt-e-safar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.