rukawaT raste ki mil ka patthar nahin hota
rukāvaT rāste kī miil kā patthar nahīñ hotā
nazar manzil pe ho to fāsloñ kā Dar nahīñ hotā
qila īmān kā mazbūt ho to sar nahīñ hotā
ḳhudā se Darne vāloñ ko kisī kā Dar nahīñ hotā
bhaTaktī hai ḳhushī ḳhāna-badoshī kī tarah dar dar
jahāñ meñ mustaqil us kā kahīñ bhī ghar nahīñ hotā
faqat a.amāl aur kirdār par haiñ munhasir rutbe
kamā kar māl-o-daulat aadmī bartar nahīñ hotā
ġharībī mulk meñ phailī huī kaise dikhā.ī de
siyāsī ainakoñ meñ duur kā number nahīñ hotā
rasad aatī nahīñ 'dānish' kabhī jang-e-muqaddar meñ
bashar tanhā hī laḌtā hai koī lashkar nahīñ hotā
rukawaT raste ki mil ka patthar nahin hota
nazar manzil pe ho to faslon ka Dar nahin hota
qila iman ka mazbut ho to sar nahin hota
KHuda se Darne walon ko kisi ka Dar nahin hota
bhaTakti hai KHushi KHana-badoshi ki tarah dar dar
jahan mein mustaqil us ka kahin bhi ghar nahin hota
faqat aamal aur kirdar par hain munhasir rutbe
kama kar mal-o-daulat aadmi bartar nahin hota
gharibi mulk mein phaili hui kaise dikhai de
siyasi ainakon mein dur ka number nahin hota
rasad aati nahin 'danish' kabhi jang-e-muqaddar mein
bashar tanha hi laDta hai koi lashkar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.