ruKH-e-hayat nikharta hai hadsat ke baad
ruḳh-e-hayāt nikhartā hai hādsāt ke ba.ad
ḳhushī kī sub.h bhī aa.egī ġham kī raat ke ba.ad
bas is ḳhatā pe haiñ mere ḳhilāf saare log
mirā yaqīn ḳhudā par hai apnī zaat ke ba.ad
mirī taraf nigah-e-mahr yūñhī rahne de
sitam na kar miirī hastī pe iltifāt ke ba.ad
hazār tarah ke ilzām deñge log tujhe
paḌeñge sab tire chehre ko terī baat ke ba.ad
vafā ke naqsh miTāne se miT nahīñ sakte
maiñ yaad ā.ūñgā tark-e-ta.alluqāt ke ba.ad
'sabā' nasīb mujhe do jahāñ kī daulat hai
jahān-e-dard milā dil kī kā.enāt ke ba.ad
ruKH-e-hayat nikharta hai hadsat ke baad
KHushi ki subh bhi aaegi gham ki raat ke baad
bas is KHata pe hain mere KHilaf sare log
mera yaqin KHuda par hai apni zat ke baad
meri taraf nigah-e-mahr yunhi rahne de
sitam na kar meri hasti pe iltifat ke baad
hazar tarah ke ilzam denge log tujhe
paDenge sab tere chehre ko teri baat ke baad
wafa ke naqsh miTane se miT nahin sakte
main yaad aaunga tark-e-talluqat ke baad
'saba' nasib mujhe do jahan ki daulat hai
jahan-e-dard mila dil ki kaenat ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.