ruKH-e-zardar par har-dam damakti shadmani hai
ruḳh-e-zardār par har-dam damaktī shādmānī hai
magar muflis ke chehra se ayaañ ġham kī nishānī hai
tum apnī dāstān-e-ġham zarā khul kar kaho mujh se
mire barbād hone kī to ik lambī kahānī hai
agar kuchh sochnā hai āqibat kī soch ai nādāñ
bharosa kyā hai duniyā kā ye duniyā ānī-jānī hai
baḌī muddat se ḳhvāhish hai guzāreñ saath kuchh lamhe
tumhāre shahr kī har shaam sunte haiñ suhānī hai
kahīñ bhūle se bhī us se na dil kī baat kah denā
mizāj-e-yār meñ kuchh aaj talḳhī hai girānī hai
ye kaise moḌ par tū zindagī le aa.ī hai mujh ko
jahāñ dil meñ koī ġham hai na koī shādmānī hai
lo ab to ahl-e-fikr-o-fan bhī kahte haiñ sar-e-mahfil
tere ash.ār meñ ai 'shauq' shoḳhī hai ravānī hai
ruKH-e-zardar par har-dam damakti shadmani hai
magar muflis ke chehra se ayan gham ki nishani hai
tum apni dastan-e-gham zara khul kar kaho mujh se
mere barbaad hone ki to ek lambi kahani hai
agar kuchh sochna hai aaqibat ki soch ai nadan
bharosa kya hai duniya ka ye duniya aani-jaani hai
baDi muddat se KHwahish hai guzaren sath kuchh lamhe
tumhaare shahr ki har sham sunte hain suhani hai
kahin bhule se bhi us se na dil ki baat kah dena
mizaj-e-yar mein kuchh aaj talKHi hai girani hai
ye kaise moD par tu zindagi le aai hai mujh ko
jahan dil mein koi gham hai na koi shadmani hai
lo ab to ahl-e-fikr-o-fan bhi kahte hain sar-e-mahfil
tere ashaar mein ai 'shauq' shoKHi hai rawani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.