ruKH hawa ka ye ki jaise usko aasani paDe
ruḳh havā kā ye ki jaise us ko āsānī paḌe
dil kī aag aisī ki ham ko roz sulgānī paḌe
nuur ho andar to bāhar maat kyuuñ khānī paḌe
vo tajallī kyā miyāñ jo tuur se laanī paḌe
zindagī kī qadr tab tum par khulegī dosto
us ke kūche se jab ek ik saañs mañgvānī paḌe
ek to mushkil ko jhelūñ aur uupar se ye hai
apnī mushkil roz us ko jā ke samjhānī paḌe
ḳhud vo milne aa.e to haa.el rahe ye be-ḳhudī
maiñ jo milne jā.ūñ to raste meñ hairānī paḌe
paḌ gayā jab tū hī īn-o-āñ kī uljhan meñ 'shujā.a'
laakh phir sajde meñ shab bhar terī peshānī paḌe
ruKH hawa ka ye ki jaise us ko aasani paDe
dil ki aag aisi ki hum ko roz sulgani paDe
nur ho andar to bahar mat kyun khani paDe
wo tajalli kya miyan jo tur se lani paDe
zindagi ki qadr tab tum par khulegi dosto
us ke kuche se jab ek ek sans mangwani paDe
ek to mushkil ko jhelun aur upar se ye hai
apni mushkil roz us ko ja ke samjhani paDe
KHud wo milne aae to hael rahe ye be-KHudi
main jo milne jaun to raste mein hairani paDe
paD gaya jab tu hi in-o-an ki uljhan mein 'shujaa'
lakh phir sajde mein shab bhar teri peshani paDe
- Book : Allah Hu (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.