ruKH jo badla gham-e-zindagi ne
ruḳh jo badlā ġham-e-zindagī ne
mujh ko apnā liyā mai-kashī ne
mauj-e-tūfāñ meñ thā kaun apnā
aa ke sāhil pe pūchhā sabhī ne
khul hī jaatā thā rāz-e-ḳhudā.ī
vo to rokā had-e-bandagī ne
shaam se sub.h tak koī pūchhe
kyā diyā sham.a ko raushnī ne
varna pahchāntā kaun 'raunaq'
mujh ko rusvā kiyā shā.irī ne
ruKH jo badla gham-e-zindagi ne
mujh ko apna liya mai-kashi ne
mauj-e-tufan mein tha kaun apna
aa ke sahil pe puchha sabhi ne
khul hi jata tha raaz-e-KHudai
wo to roka had-e-bandagi ne
sham se subh tak koi puchhe
kya diya shama ko raushni ne
warna pahchanta kaun 'raunaq'
mujh ko ruswa kiya shairi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.