ruKH kisi ka nazar nahin aata
ruḳh kisī kā nazar nahīñ aatā
koī aatā nazar nahīñ aatā
kyā kahūñ kyā malāl rahtā hai
kyā kahūñ kyā nazar nahīñ aatā
sunñe vaale to baat ke lākhoñ
kahne vaalā nazar nahīñ aatā
duur se vo jhalak dikhāte haiñ
chāñd puurā nazar nahīñ aatā
khoī khoī nazar ye kyuuñ 'muztar'
kuchh kaho kyā nazar nahīñ aatā
ruKH kisi ka nazar nahin aata
koi aata nazar nahin aata
kya kahun kya malal rahta hai
kya kahun kya nazar nahin aata
sunne wale to baat ke lakhon
kahne wala nazar nahin aata
dur se wo jhalak dikhate hain
chand pura nazar nahin aata
khoi khoi nazar ye kyun 'muztar'
kuchh kaho kya nazar nahin aata
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 163)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.