ruKH pe gard-e-malal thi kya thi
ruḳh pe gard-e-malāl thī kyā thī
hāsil-e-māh-o-sāl thī kyā thī
ek sūrat sī yaad hai ab bhī
aap apnī misāl thī kyā thī
merī jānib uThī thī koī nigah
ek mub.ham savāl thī kyā thī
us ko pā kar bhī us ko pā na sakā
justujū-e-jamāl thī kyā thī
sub.h tak ḳhud se ham-kalām rahā
ye shab-e-jazb-o-hāl thī kyā thī
dil meñ thī par laboñ tak aa na sakī
ārzū-e-visāl thī kyā thī
apne zaḳhmoñ pe ik fasurda hañsī
koshish-e-indimāl thī kyā thī
umar bhar meñ bas ek baar aa.ī
sā.at-e-lā-zavāl thī kyā thī
ḳhuuñ kī pyāsī thī sar-zamīn-e-vatan
ek shahr-e-ḳhayāl thī kyā thī
bā.is-e-ranjish-e-azīzāñ thī
ḳhū-e-kasb-e-kamāl thī kyā thī
ik jhalak lamha-e-farāġhat thī
ek amr-e-muhāl thī kyā thī
koī ḳhvāhāñ na thā ki jins-e-hunar
ek muflis kā maal thī kyā thī
ruKH pe gard-e-malal thi kya thi
hasil-e-mah-o-sal thi kya thi
ek surat si yaad hai ab bhi
aap apni misal thi kya thi
meri jaanib uThi thi koi nigah
ek mubham sawal thi kya thi
us ko pa kar bhi us ko pa na saka
justuju-e-jamal thi kya thi
subh tak KHud se ham-kalam raha
ye shab-e-jazb-o-haal thi kya thi
dil mein thi par labon tak aa na saki
aarzu-e-visal thi kya thi
apne zaKHmon pe ek fasurda hansi
koshish-e-indimal thi kya thi
umar bhar mein bas ek bar aai
saat-e-la-zawal thi kya thi
KHun ki pyasi thi sar-zamin-e-watan
ek shahr-e-KHayal thi kya thi
bais-e-ranjish-e-azizan thi
KHu-e-kasb-e-kamal thi kya thi
ek jhalak lamha-e-faraghat thi
ek amr-e-muhaal thi kya thi
koi KHwahan na tha ki jins-e-hunar
ek muflis ka mal thi kya thi
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 40)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.