ruKH pe zulfon ki jo un ke ye ghaTa chhai hai
ruḳh pe zulfoñ kī jo un ke ye ghaTā chhā.ī hai
rū-e-tābāñ pe chamak aur ubhar aa.ī hai
kis ne rā'nā.ī-e-jalve pe nazar Daalī hai
lā.iq-e-dīd tirī raunaq-o-zebā.ī hai
tū vo hastī to nahīñ hai ki bhulā duuñ dil se
mujh ko har dam shab-e-furqat tirī yaad aa.ī hai
raunaq-e-bazm tire dam hī se hai ai saaqī
vaah kyā ḳhuub tirī anjuman-ārā.ī hai
ye mahaktī huī ḳhushbū ye chaman kī raunaq
aap ke dam se chaman meñ ye bahār aa.ī hai
ḳhud vo aate bhī nahīñ mujh ko bulāte bhī nahīñ
qābil-e-dīd mirā ‘ālam-e-tanhā.ī hai
dil lagānā bhī musībat hai kisī se 'bāsir'
ye haqīqat mire dil ne mujhe samjhā.ī hai
ruKH pe zulfon ki jo un ke ye ghaTa chhai hai
ru-e-taban pe chamak aur ubhar aai hai
kis ne ra'nai-e-jalwe pe nazar Dali hai
laiq-e-did teri raunaq-o-zebai hai
tu wo hasti to nahin hai ki bhula dun dil se
mujh ko har dam shab-e-furqat teri yaad aai hai
raunaq-e-bazm tere dam hi se hai ai saqi
wah kya KHub teri anjuman-arai hai
ye mahakti hui KHushbu ye chaman ki raunaq
aap ke dam se chaman mein ye bahaar aai hai
KHud wo aate bhi nahin mujh ko bulate bhi nahin
qabil-e-did mera ‘alam-e-tanhai hai
dil lagana bhi musibat hai kisi se 'basir'
ye haqiqat mere dil ne mujhe samjhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.