ruKH se burqa jo ulaT de wo to aafat ho jae
ruḳh se burqā jo ulaT de vo to aafat ho jaa.e
qad-kashī ho to numūdār qayāmat ho jaa.e
daulat-e-husn-e-butāñ se to na rahiye mahrūm
bādshāhī na ho par ishq kī daulat ho jaa.e
haal dekhe tire hairāñ kā jo ai ā.ina-rū
hai yaqīñ dīda-e-tasvīr ko riqqat ho jaa.e
naam ghar jaane kā le yaar agar tū shab-e-vasl
ḳhāna-e-tan se yahāñ jaan bhī ruḳhsat ho jaa.e
tā.ir-e-bāġh asīrān-e-balā nāhaq haiñ
abhī uḌ jaa.eñ tasavvur meñ jo himmat ho jaa.e
intizār-e-but-e-be-pīr se kyā is kā ajab
mar ga.e par bhī jo vā dīda-e-hasrat ho jaa.e
dostoñ kā ye huā haal ki kahtī hai ḳhalq
dushmanoñ ko bhī tire saath na ulfat ho jaa.e
ik nazar dekhe tirā husn jo ai ā.īna-rū
abhī tasvīr kā vā dīda-e-hairat ho jaa.e
tab.a-e-ālī yahī kahtī hai qalam se har dam
sher vo likh tū ki āfāq meñ shohrat ho jaa.e
ruKH se burqa jo ulaT de wo to aafat ho jae
qad-kashi ho to numudar qayamat ho jae
daulat-e-husn-e-butan se to na rahiye mahrum
baadshahi na ho par ishq ki daulat ho jae
haal dekhe tere hairan ka jo ai aaina-ru
hai yaqin dida-e-taswir ko riqqat ho jae
nam ghar jaane ka le yar agar tu shab-e-wasl
KHana-e-tan se yahan jaan bhi ruKHsat ho jae
tair-e-bagh asiran-e-bala nahaq hain
abhi uD jaen tasawwur mein jo himmat ho jae
intizar-e-but-e-be-pir se kya is ka ajab
mar gae par bhi jo wa dida-e-hasrat ho jae
doston ka ye hua haal ki kahti hai KHalq
dushmanon ko bhi tere sath na ulfat ho jae
ek nazar dekhe tera husn jo ai aaina-ru
abhi taswir ka wa dida-e-hairat ho jae
taba-e-ali yahi kahti hai qalam se har dam
sher wo likh tu ki aafaq mein shohrat ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.