ruKH se naqab un ke jo haTti chali gai
ruḳh se naqāb un ke jo haTtī chalī ga.ī
chādar sī ek nuur kī bichhtī chalī ga.ī
aa.e vo mere ghar pe to jaane ye kyā huā
har ek chiiz ḳhud se nikhartī chalī ga.ī
guzrā jidhar jidhar se mirā pyaar dosto
ḳhushbū udhar havāoñ meñ ghultī chalī ga.ī
aa.ī bahār ab ke chaman meñ kuchh is tarah
gul kī har ek shāḳh lachaktī chalī ga.ī
'tauqīr' kar chukā thā samundar se dostī
kashtī bhañvar se us kī guzartī chalī ga.ī
ruKH se naqab un ke jo haTti chali gai
chadar si ek nur ki bichhti chali gai
aae wo mere ghar pe to jaane ye kya hua
har ek chiz KHud se nikharti chali gai
guzra jidhar jidhar se mera pyar dosto
KHushbu udhar hawaon mein ghulti chali gai
aai bahaar ab ke chaman mein kuchh is tarah
gul ki har ek shaKH lachakti chali gai
'tauqir' kar chuka tha samundar se dosti
kashti bhanwar se us ki guzarti chali gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.