ruKH se parda jo uTha rakkha hai tauba tauba
ruḳh se pardā jo uThā rakkhā hai tauba tauba
tū ne hañgāma machā rakkhā hai tauba tauba
ek to āñkheñ tirī yaar haiñ ḳhanjar jaisī
us pe kājal bhī lagā rakkhā hai tauba tauba
shaiḳh jī aap ko āḳhir ye huā kyā hai kaho
jaam hāthoñ meñ uThā rakkhā hai tauba tauba
chand paise ke liye aap ne kyūñkar sāhab
apnā īmān gañvā rakkhā hai tauba tauba
sīdhe muñh baat bhī karte nahīñ tum to ham se
ġhair ko paas biThā rakkhā hai tauba tauba
ruKH se parda jo uTha rakkha hai tauba tauba
tu ne hangama macha rakkha hai tauba tauba
ek to aankhen teri yar hain KHanjar jaisi
us pe kajal bhi laga rakkha hai tauba tauba
shaiKH ji aap ko aaKHir ye hua kya hai kaho
jam hathon mein uTha rakkha hai tauba tauba
chand paise ke liye aap ne kyunkar sahab
apna iman ganwa rakkha hai tauba tauba
sidhe munh baat bhi karte nahin tum to hum se
ghair ko pas biTha rakkha hai tauba tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.