ruKH se uThti hai naqab-e-mah-e-taban har shab
ruḳh se uThtī hai naqāb-e-mah-e-tābāñ har shab
lahlahāte haiñ nigāhoñ meñ gulistāñ har shab
aan kī aan meñ āfāq pe chhā jaatā hai
nik.hat-o-nūr kā umḌā huā tūfāñ har shab
tere jalvoñ se charāġhāñ kā samāñ rahtā hai
jagmagā uThtī hai ye manzil-e-vīrāñ har shab
terī sāñsoñ kī mahak jin meñ basī rahtī hai
in havāoñ se mahaktā hai shabistāñ har shab
tere nikhre hue angoñ ke hasīñ rang liye
raqs kartī hai bahār-e-chamanistāñ har shab
'ālam-e-nashsha meñ rū-e-'araq-ālūda par
vo laTeñ hotī haiñ lahrā ke pareshāñ har shab
sāġhar-e-bāda liye saaz kī āvāz ke saath
nāchtī rahtī hai rūh-e-tarabistāñ har shab
dīda-o-dil pe kiyā kartī hai kyā kyā jaadū
mastī-o-shoḳhī-e-chashmān-e-ġhazālāñ har shab
jaam us nargis-e-sarshār se le kar 'muztar'
rang-o-āhang se hotā hai ġhazal-ḳhvāñ har shab
ruKH se uThti hai naqab-e-mah-e-taban har shab
lahlahate hain nigahon mein gulistan har shab
aan ki aan mein aafaq pe chha jata hai
nikhat-o-nur ka umDa hua tufan har shab
tere jalwon se charaghan ka saman rahta hai
jagmaga uThti hai ye manzil-e-viran har shab
teri sanson ki mahak jin mein basi rahti hai
in hawaon se mahakta hai shabistan har shab
tere nikhre hue angon ke hasin rang liye
raqs karti hai bahaar-e-chamanistan har shab
'alam-e-nashsha mein ru-e-'araq-aluda par
wo laTen hoti hain lahra ke pareshan har shab
saghar-e-baada liye saz ki aawaz ke sath
nachti rahti hai ruh-e-tarabistan har shab
dida-o-dil pe kiya karti hai kya kya jadu
masti-o-shoKHi-e-chashman-e-ghazalan har shab
jam us nargis-e-sarshaar se le kar 'muztar'
rang-o-ahang se hota hai ghazal-KHwan har shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.