ruKH tere sochne ka badla kyon
ruḳh tire sochne kā badlā kyoñ
tū mirā naam sun ke chauñkā kyoñ
ghar kī dīvāreñ ho ga.iiñ ūñchī
tum ne bāhar kā ḳhvāb dekhā kyoñ
lafz kyoñ ban rahe haiñ āvāzeñ
saañs lene lagā añdherā kyoñ
log pahle hī bad-gumāñ kam the
tum ne merā mizāj pūchhā kyoñ
jis ne ghar hī hamārā phūñk diyā
tum ne aisā diyā jalāyā kyoñ
baat kamzor agar na karte aap
hotā majbūriyoñ kā saudā kyoñ
jism to dhuup se jalegā hī
tum ne saaya shajar kā bechā kyoñ
ruKH tere sochne ka badla kyon
tu mera nam sun ke chaunka kyon
ghar ki diwaren ho gain unchi
tum ne bahar ka KHwab dekha kyon
lafz kyon ban rahe hain aawazen
sans lene laga andhera kyon
log pahle hi bad-guman kam the
tum ne mera mizaj puchha kyon
jis ne ghar hi hamara phunk diya
tum ne aisa diya jalaya kyon
baat kamzor agar na karte aap
hota majburiyon ka sauda kyon
jism to dhup se jalega hi
tum ne saya shajar ka becha kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.