ruKH zulf mein be-naqab dekha
ruḳh zulf meñ be-naqāb dekhā
maiñ tīra-shab āftāb dekhā
mahrūm hai nāma-dār-e-duniyā
paanī se tahī habāb dekhā
surḳhī se tire laboñ kī ham ne
ātish ko miyān-e-āb dekhā
qāsid kā sar aayā us galī se
naame kā mire javāb dekhā
jaanā ye ham ne vafāt ke ba.ad
dekhā jo jahāñ meñ ḳhvāb dekhā
aafat kā nishāna ho chukā thā
maiñ dil kī taraf shitāb dekhā
ik vaz.a nahīñ mizāj-e-ma.ashūq
gah lutf o gahe itaab dekhā
āñkhoñ se bahāreñ guzrīñ kyā kyā
kis kis kā na maiñ shabāb dekhā
kal mai-kade meñ baġhair saaqī
auñdhā qadah-e-sharāb dekhā
kiiñ us ne jafā.eñ be-hisābī
ik din na kabhū hisāb dekhā
siine se nikal paḌā na āḳhir
dil kā mire iztirāb dekhā
kyā hogī falāh ba.ad-e-murdan
jiite to sadā azaab dekhā
ābādī hai us kī 'mus.hafī' kam
aalam ke ta.iiñ ḳharāb dekhā
ruKH zulf mein be-naqab dekha
main tira-shab aaftab dekha
mahrum hai nama-dar-e-duniya
pani se tahi habab dekha
surKHi se tere labon ki hum ne
aatish ko miyan-e-ab dekha
qasid ka sar aaya us gali se
name ka mere jawab dekha
jaana ye hum ne wafat ke baad
dekha jo jahan mein KHwab dekha
aafat ka nishana ho chuka tha
main dil ki taraf shitab dekha
ek waza nahin mizaj-e-mashuq
gah lutf o gahe itab dekha
aankhon se bahaaren guzrin kya kya
kis kis ka na main shabab dekha
kal mai-kade mein baghair saqi
aundha qadah-e-sharab dekha
kin us ne jafaen be-hisabi
ek din na kabhu hisab dekha
sine se nikal paDa na aaKHir
dil ka mere iztirab dekha
kya hogi falah baad-e-murdan
jite to sada azab dekha
aabaadi hai us ki 'mushafi' kam
aalam ke tain KHarab dekha
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.