ruKHsar aaj dho kar shabnam ne pankhuDi ke
ruḳhsār aaj dho kar shabnam ne pankhuḌī ke
kuchh aur baḳhsh Daale andāz dilkashī ke
īsār-e-ḳhud-shanāsī tauhīd aur sadāqat
ai dil sutūn haiñ ye aivān bandagī ke
ranj-o-alam meñ kuchh kuchh āmezish-e-masarrat
haiñ naqsh kaise dilkash tasvīr-e-zindagī ke
farzī ḳhudā banā.e sajde kiye butoñ ko
allāh-re karishme ehsās-e-kam-tarī ke
qalb o jigar ke TukḌe ye āñsuoñ ke qatre
allāh raas laa.e hāsil haiñ zindagī ke
sahrā.iyoñ se sīkhe koī rumūz-e-hastī
ābādiyoñ meñ aksar dushman haiñ āgahī ke
jān-e-ḳhulūs ban kar ham ai 'shakeb' ab tak
ta.alīm kar rahe haiñ ādāb zindagī ke
ruKHsar aaj dho kar shabnam ne pankhuDi ke
kuchh aur baKHsh Dale andaz dilkashi ke
isar-e-KHud-shanasi tauhid aur sadaqat
ai dil sutun hain ye aiwan bandagi ke
ranj-o-alam mein kuchh kuchh aamezish-e-masarrat
hain naqsh kaise dilkash taswir-e-zindagi ke
farzi KHuda banae sajde kiye buton ko
allah-re karishme ehsas-e-kam-tari ke
qalb o jigar ke TukDe ye aansuon ke qatre
allah ras lae hasil hain zindagi ke
sahraiyon se sikhe koi rumuz-e-hasti
aabaadiyon mein aksar dushman hain aagahi ke
jaan-e-KHulus ban kar hum ai 'shakeb' ab tak
talim kar rahe hain aadab zindagi ke
- Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 243)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.