ruKHsar ke partaw se bijli ki nai dhaj hai
ruKHsar ke partaw se bijli ki nai dhaj hai
Agha Shayar Qazalbash
MORE BYAgha Shayar Qazalbash
ruḳhsār ke partav se bijlī kī na.ī dhaj hai
kyuuñ aañkh jhapaktī hai kyā sāmne sūraj hai
duniyā kī zamīnoñ se ai charḳh tū kyā vāqif
ik ik yahāñ pinhāñ kā.vus hai iiraj hai
darvāze pe us but ke sau baar hameñ jaanā
apnā to yahī kaaba apnā to yahī haj hai
ai abru-e-jānāñ tū itnā to batā ham ko
kis ruḳh se kareñ sajda qible meñ zarā kaj hai
insāf karo logo insāf karo pyāro
'shā.ir' kī zamāne meñ duniyā se na.ī dhaj hai
ruKHsar ke partaw se bijli ki nai dhaj hai
kyun aankh jhapakti hai kya samne suraj hai
duniya ki zaminon se ai charKH tu kya waqif
ek ek yahan pinhan kawus hai iraj hai
darwaze pe us but ke sau bar hamein jaana
apna to yahi kaba apna to yahi haj hai
ai abru-e-jaanan tu itna to bata hum ko
kis ruKH se karen sajda qible mein zara kaj hai
insaf karo logo insaf karo pyaro
'shair' ki zamane mein duniya se nai dhaj hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.