ruKHsar pe to qabil-e-bardasht hai lekin
ruḳhsār pe to qābil-e-bardāsht hai lekin
ik hashr sā barpā hai tire hoñT ke til se
Dasne nahīñ aayā mujhe vo mār-e-ḳhazāna
aisā na ho vo bhī nikal aa.e kisī bil se
ye us kā muqaddar thā ki jo Tuut ke bikhrā
vo kāñch kā paikar mutasādim huā sil se
us ko to har ik chiiz hī lagtī thī khilaunā
toḌā hai mujhe phir vo gayā khel ke dil se
miTTī meñ hī dafnāte haiñ tab bād-e-fanā log
qudrat ne banāyā har ik insān ko gil se
ruKHsar pe to qabil-e-bardasht hai lekin
ek hashr sa barpa hai tere honT ke til se
Dasne nahin aaya mujhe wo mar-e-KHazana
aisa na ho wo bhi nikal aae kisi bil se
ye us ka muqaddar tha ki jo Tut ke bikhra
wo kanch ka paikar mutasadim hua sil se
us ko to har ek chiz hi lagti thi khilauna
toDa hai mujhe phir wo gaya khel ke dil se
miTTi mein hi dafnate hain tab baad-e-fana log
qudrat ne banaya har ek insan ko gil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.