ruKHsat ai ham-safaro shahar-e-nigar aa hi gaya
ruḳhsat ai ham-safaro shahar-e-nigār aa hī gayā
ḳhuld bhī jis pe ho qurbāñ vo dayār aa hī gayā
ye junūñ-zār mirā mere ġhazāloñ kā jahāñ
merā najd aa hī gayā merā tatār aa hī gayā
aaj phirtā ba-chaman darpai-e-gul-hā-e-chaman
gungunātā huā zambūr-e-bahār aa hī gayā
gesuoñ vāloñ meñ abrū ke kamāñ-dāroñ meñ
ek said aa hī gayā ek shikār aa hī gayā
bāġhbānoñ ko batāo gul-o-nasrīñ se kaho
ik ḳharāb-e-gul-o-nasrīn-e-bahār aa hī gayā
ḳhair-maqdam ko mire koī ba-hañgām-e-sahar
apnī āñkhoñ meñ liye shab kā ḳhumār aa hī gayā
zulf kā abr-e-siyah bāzū-e-sīmīñ pe liye
phir koī ḳhema-zan-e-sāz-e-bahār aa hī gayā
ho ga.ī tishna-labī aaj rahīn-e-kausar
mere lab par lab-e-lālīn-e-nigār aa hī gayā
ruKHsat ai ham-safaro shahar-e-nigar aa hi gaya
KHuld bhi jis pe ho qurban wo dayar aa hi gaya
ye junun-zar mera mere ghazalon ka jahan
mera najd aa hi gaya mera tatar aa hi gaya
aaj phirta ba-chaman darpai-e-gul-ha-e-chaman
gungunata hua zambur-e-bahaar aa hi gaya
gesuon walon mein abru ke kaman-daron mein
ek said aa hi gaya ek shikar aa hi gaya
baghbanon ko batao gul-o-nasrin se kaho
ek KHarab-e-gul-o-nasrin-e-bahaar aa hi gaya
KHair-maqdam ko mere koi ba-hangam-e-sahar
apni aankhon mein liye shab ka KHumar aa hi gaya
zulf ka abr-e-siyah bazu-e-simin pe liye
phir koi KHema-zan-e-saz-e-bahaar aa hi gaya
ho gai tishna-labi aaj rahin-e-kausar
mere lab par lab-e-lalin-e-nigar aa hi gaya
- Book : Aahang (Pg. 143)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.