ruKHsati ke din chukana hoga jurmana sanam
ruḳhsatī ke din chukānā hogā jurmāna sanam
ik dafa denā paḌegā phir se ye shāna sanam
bhuul kar mujh ko jo tum ne bhuul kī thī ik dafa
zikr bhī us bhuul kā lab par nahīñ laanā sanam
tum sajā denā khile sad.hā gulāboñ se mujhe
āḳhirī hogā tumhārā ye hī harjāna sanam
jo chhupā kar aaj bhī rakkhe haiñ ḳhat sandūq meñ
chāhte haiñ un ḳhatoñ ko saath le jaanā sanam
chāñd ke jaane se hī rāteñ badaltī sub.h meñ
jaate jaate bas yahī kahtā hai dīvāna sanam
ruKHsati ke din chukana hoga jurmana sanam
ek dafa dena paDega phir se ye shana sanam
bhul kar mujh ko jo tum ne bhul ki thi ek dafa
zikr bhi us bhul ka lab par nahin lana sanam
tum saja dena khile sadha gulabon se mujhe
aaKHiri hoga tumhaara ye hi harjaana sanam
jo chhupa kar aaj bhi rakkhe hain KHat sanduq mein
chahte hain un KHaton ko sath le jaana sanam
chand ke jaane se hi raaten badalti subh mein
jate jate bas yahi kahta hai diwana sanam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.