rukne ka ab nam na le hai rahi chalta jae hai
rukne kā ab naam na le hai raahī chaltā jaa.e hai
būḌhā bargad apne saa.e meñ ḳhud hī sustā.e hai
bhīnī bhīnī mahuvā kī bū duur gaañv se aa.e hai
bhūlī-bisrī koī kahānī nas nas aag lagā.e hai
uljhī sāñseñ sargoshī aur chauḌī kī maddham āvāz
paas kā kamra roz raat kī niiñd uḌā le jaa.e hai
kam kyā hotī lajjā kī ye duurī ab to aur baḌhī
dāyāñ gaal chhupā kar ab vo aur adhik sharmā.e hai
jab se saalā shahrī baabū apne gaañv meñ aayā hai
gorī ka.ī ka.ī baar kueñ par paanī bharne jaa.e hai
pūrab pachchhim utar dakhkhin apnī miTTī ke qaidī
yuuñ chaurāhe kī taḳhtī huuñ jo rasta dikhlā.e hai
haath se machhlī phisle biitā ek zamāna par ab bhī
apnī hathelī sūñghe hai jab naddī kināre aa.e hai
rukne ka ab nam na le hai rahi chalta jae hai
buDha bargad apne sae mein KHud hi sustae hai
bhini bhini mahuwa ki bu dur ganw se aae hai
bhuli-bisri koi kahani nas nas aag lagae hai
uljhi sansen sargoshi aur chauDi ki maddham aawaz
pas ka kamra roz raat ki nind uDa le jae hai
kam kya hoti lajja ki ye duri ab to aur baDhi
dayan gal chhupa kar ab wo aur adhik sharmae hai
jab se sala shahri babu apne ganw mein aaya hai
gori kai kai bar kuen par pani bharne jae hai
purab pachchhim utar dakhkhin apni miTTi ke qaidi
yun chaurahe ki taKHti hun jo rasta dikhlae hai
hath se machhli phisle bita ek zamana par ab bhi
apni hatheli sunghe hai jab naddi kinare aae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.