rukti hai sans qalb ki raftar be-sabab
ruktī hai saañs qalb kī raftār be-sabab
dekhe jo muskurā ke vo ik baar be-sabab
patjhaḌ meñ ḳhvāhish-e-gul-o-gulzār be-vaj.h
tīra-shabī meñ shikva-e-anvār be-sabab
jhukte saroñ pe baar hai dastār kī numūd
buzdil ke saath lashkar-e-jarrār be-sabab
vo chashm-e-nāz gar nahīñ maa.il karam pe to
jām-o-subū kī gardish-o-advār be-sabab
rukti hai sans qalb ki raftar be-sabab
dekhe jo muskura ke wo ek bar be-sabab
patjhaD mein KHwahish-e-gul-o-gulzar be-wajh
tira-shabi mein shikwa-e-anwar be-sabab
jhukte saron pe bar hai dastar ki numud
buzdil ke sath lashkar-e-jarrar be-sabab
wo chashm-e-naz gar nahin mail karam pe to
jam-o-subu ki gardish-o-adwar be-sabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.